Dil bhi ajib cheez hai ,
Jise jaisa samajhta hai woh waisa hota nahi.
Khwaab har pal naye bunta rehta hai,
Par har khwaab pura hota nahi.
Parakhta hai har insaan ko ek mapdand par,
Par sabka ek jaisa bhaar nahi.
Kyunki tolta hai jis traaju par,
Uska toh hota koi mol nahi.
Har ek aadmi ahem main choor hai,
Main mera mujhse hata nahi.
Par woh yeh bhool jaata hai ki,
Iss duniya par uska raj chal sakta nahi.
Kisko kya-kya hum samjhayein,
Apne mein hi toh khot bhari.
Patjhar main patte pedo se gir jaayein,
Ismein pato ka toh koi dosh nahi.
Written by : Sumit Kumar
Editor-in-chief : Khushboo Goyal
Editor-in-chief : Khushboo Goyal